Prem Pujari - Phoolon Ke Rang Se Dil Ki Kalam Se


Movie : Prem Pujari
Singers : Kishore Kumar
Song : Phoolon Ke Rang Se Dil Ki Kalam Se
Lyricist : Neeraj
Actors : Dev Anand, Waheeda Rehman, Shatrughan Sinha
Music Directors : S D Burman

phoolon ke rang se
dil ki kalam se
tujh ko likhi roz paati

kaise bataaun
kis kis tarah se
pal pal mujhe tu sataati

tere hi sapne
le kar ke soya
teri hi yaadon mein jaaga
tere khayaalon mein
uljha raha yoon
jaise ke maala mein dhaaga

haan badal bijli
chandan paani
jaisa apna pyaar
lena hoga janam hamen
kai kai baar

haan itna madir
itna madhur
tera mera pyaar
lena hoga janam hamen
kai kai baar

saanso ki sargam
dhadkan ki veena
sapno ki geetanjali tu
man ki gali mein
mehke jo har dum
aisi juhi ki kali tu

chhota safar ho
lamba safar ho
sooni dagar ho ya mela
yaad tu aaye
man ho jaaye
bheed ke beech akela

haan baadal bijli
chandan paani
jaisa apna pyaar
lena hoga janam hamen
kai kai baar

haan itna madir
itna madhur
tera mera pyaar
lena hoga janam hamen
kai kai baar

poorab ho pachhim
uttar ho dakkhin
tu har jagah muskuraaye
jitna hi jaaun
main door tujh se
utni hi tu paas aaye

aandhi ne roka
paani ne toka
duniya ne has kar pukaara
tasveer teri
lekin liye main
kar aaya sab se kinaara

haan baadal bijli
chandan paani
jaisa apna pyaar
lena hoga janam hamen
kai kai baar

haan itna madir
itna madhur
tera mera pyaar
lena hoga janam hamen
kai kai baar

kai kai baar..
kai kai baar..

No comments:

Post a Comment

Please Leave Your Comments Here