Kabhi Alvida Na Kehna (2006) - Tumhi Dekho Na Yeh Kya Ho Gaya

Movie: Kabhi Alvida Naa Kehna (2006)
Music: Shankar-Ehsaan-Loy
Singer: Alka Yagnik & Sonu Nigam
Lyrics: Javed Akhtar

Tumhi dekho na yeh kya ho gaya
tumhara hoon main aur tum meri
main hairaan hoon tumhen kya kahu
ke din mein hui kaisi chaandani
jaagi jaagi si hai phir bhi khwaabon mein hai
khoyi khoyi zindagi
tumhi dekho na yeh kya ho gaya
tumhara hoon main aur tum meri


behke behke se mann
mehke mehke se tann
ujli ujli fizzaon mein hai
aaj ham hai jahaan
kitni ranginiyan
chhalki chhalki nigaahon mein hai
neeli neeli ghataaon se hai chhan rahi
halki halki roshni
tumhi dekho na yeh kya ho gaya
tumhara hoon main aur tum meri
main hairaan hoon tumhen kya kahu
ke din mein hui kaisi chaandani

main toh anjaan thi yun bhi hoga kabhi
pyar barsega yun toot ke
sach yeh ikraar hai sach yahi pyar hai
baaki bandhan hai sab jhuth ke
meri saanson mein hai ghul rahi pyar ki
dheemi dheemi raagini
tumhi dekho na yeh kya ho gaya
tumhara hoon main aur tum meri
main hairaan hoon tumhen kya kahu
ke din mein hui kaisi chaandani
jaagi jaagi si hai phir bhi khwaabon mein hai
khoyi khoyi zindagi
tumhi dekho na yeh kya ho gaya
tumhara hoon main aur tum meri
yeh din mein hui kaisi chaandani

Actors: Shahrukh Khan, Rani Mukerjee, Abhishek Bachchan, Preity Zinta

No comments:

Post a Comment

Please Leave Your Comments Here