Ishq mein Ghairat-e-jazbaat ne rone na diyaa
Warna kyaa baat thi kis baat ne rone na diyaa
aap kehte the ke rone se na badlenge naseeb
'umr bhar aapki is baat ne rone na diyaa
Un se milkar hamein rona tha, bahut rona tha
tangi-e-waqt-e-mulaaqaat ne rone na diyaa
raat bhar ki dil-e-betaab ne batein mujh se
ranjo-e-mehnat ke giraftaar ne sone na diya
Rone walo se kaho unka bhi rona ro le
Jinko majboor-e-halaat ne rone na diya
ek do roz kaa sadma ho to ro leiN, 'Faysal'
ham ko har roz ke sadmat ne rone na diyaa